Copyright © Urdu Poetry
Design by Haider Ali
Saturday, October 8, 2011

Mat kar yaqeen

Mat kar yaqeen apneY haton ki lakeeron Par....

Naseeb un k bhi hoty hain jin k hath nahi hoty...

♥·٠•"Love Story Of Pencil & Eraser"•٠·♥



Pencil : I m Sorry

Ereaser: For what? U did'nt do anything
wrong...

...
Pencil: I m Sorry coz u get Hurt bcz of me,
Whenever I made a Mistake u r always there
to erase it,
But as u make my mistakes vanish u lose a
part of urself, U get smaller & smaller.

Ereaser: Thats true but i dont mind u c i was
made to d0
this i m here to help u whenever u make a
mistake & i
knw "You'll Replace me 1 Day"
But Im Happy...

Coz (I Hate 2 See U Sad)♥♥


Friday, October 7, 2011

Badan ke donon kinaaron se jal raha hoon main

Badan ke donon kinaaron se jal raha hoon main
K chhoo raha hoon tujhe or pighal raha hoon main
Tujhi pe Khatm hai jaana mery zawaal ki raat
Tu ab tulu bhi ho ja, ke Dhal raha hoon main
(tulu :  appearing)
Bula raha hai mera jaama-zeb milne ko
To aaj pairahan-e-jaan badal raha hoon main

Ghubaar-e-rahguzar ka ye hausla bhi to dekh
Hawa-e-taazaa! tery sath chal raha hoon main

Main Khwaab dekh raha hoon k Wo pukaartaa hai,
Or apne jism se baahar nikal raha hoon main


sach baat maan lijey

sach baat maan lijey chehry pe dhool hai
ilzaam aainon pe lagaana fazool hai

teri navaazishen hon to kaanta bhi phool hai
Gham bhi mujhe qabool, Khushi bhi qabool hai

us par ab to koi tera muntazir nahi
kache Ghare pe tair kar jaana fazool hai

jab bhi mila hai zakhm ka tohfa diya mujhe
dushman zaroor hai vo mager baa-usool hai


Uchal parta hai saayaa


^———^
Uchal parta hai saayaa aur mujhko Dar nahi lagtaa
koi assaib ho insaan se barh kar nahi lagta

kaheen kache phalon ko sang-baarii tor leti hai
kaheen phal sukh jaate hain koi pathar nahi lagta

hazaaroN mushkilein hain doston se door rahne mien
mager ik fayda hai peeth par Khanjar nahi lagta
^———^
kahaa phir phone par maan se ke raviaish likhtaa hai
samandar par mera haal kiya hai kisne dekha hai

ujaale ke numaainde nayi taariKh likhte hain
jalaayi hain kuch itni bastiyaan har suu ujaalaa hai

itnii nokiilii kirno se paudaa to jal jaayega
lekin das-baaraah Ghanton mien sooraj bhi Dhaal jaayega
Thursday, October 6, 2011

shola-e-ishq

shola-e-ishq bujhaana bhi nahi chaahta hai
wo magr Khud ko jalaana bhi nahi chaahta hai

Us ko manzoor nahi hai meri gumraahi bhi,
Or mujhe raah pe laana bhi nahi chaahta hai
sair bhi jism ke sehra ki Khush aati hai magar,
der tak Khaak uraana bhi nahi chaahta hai

kaise us shakhs se tabeer pe israar karen
jo koi Khwaab dikhana bhi nahi chaahta hai

Apne kis kaam mien layega batata bhi nahi
Hum ko auron pe ganvaana bhi nahi chaahta hai

Mere lafzon mien bhi chupta nahi paikaar us ka,
dill magr naam bataana bhi nahi chaahta hai...


Kab uska visaal chaahiye tha

Kab uska visaal chaahiye tha
Bas ik Kheyaal chahiye tha

Kab dill ko jawab se Gharz thi
Honton ko sawal chahiye tha
shauq ek nafs ka tha or wafaa ko
paas-e-maah-o-saal chahiye tha

ek chehra-e-saada tha jo humko
be-misal-o-misaal chahiye tha

ik qarb mien zaat-o-zindagi hain
mumkin ko muhaal chahiye tha

Ik hunnar hai jo kar geya hoon main

Ik hunnar hai jo kar geya hoon main
sab ke dill se utaar geya hoon main

kaisey apni hansi ko zabat karoon
sun raha hoon ke Ghar geya hoon main

kiya bataon ke mar nahin paataa..
jeety jee jab se mar geya hoon main
Ab hai bus apna saamna darpesh
Har kisi se guzar geya hoon main

wo hi naaz-o-adaa, wo hi Gham
sar-ba-sar aap par geya hoon main

Ajab ilzaam hoon zamany ka
ke yahan sab ke sar geya hoon main

kabhi Khud tak pohanch nahin payaa

jab ke wahaan umar bhar geya hoon main

tum se jaanaa milaa hoon jis din se

be-tarah, Khud se dar geya hoon main

ku–e–jaanaa mien sog barpa hai

ke achanak, sudhar geya hoon main...



maskan-e-maah-o-saal

maskan-e-maah-o-saal chhor geya
dill ko us ka Kheyal chhor geya

taaza-dam jism-o-jan thy furqat mien
vasl us ka nidhhaal chhor geya

Ehad-e-maazi jo tha ajab purhaal
ik viraan haall chhor geya

zaala-baari ke marhalon ka safar
qaafiley, paamaal chhor geya

dill ko ab ye bhi yaad ho ke naa ho
kaun tha , kiya malaal chhor geya
main bhi ab Khud se hoon  jawab-e-talab
wo mujhe be-sawaal chhor geya...


Wednesday, October 5, 2011

Mera Saya

Sath Chalny ko Chaly Thy ......Dost Dushman sub

'Wasi'

Meri manzil Tak ka Saathi.... Sirf mera Saya Nikla..