Copyright © Urdu Poetry
Design by Haider Ali
Monday, December 3, 2012

Do Char Ghari Baatein

Aashiq Ki Bhi Kat Ti Hain Kya Khoob Taraf Raatein_________

Do Char Ghari Rona, Do Char Ghari Baatein__________!!!
 
Wednesday, June 6, 2012

Aashiqon main jiska title Titanic

Aashiqon main jiska title Titanic
Oo aashiqon main jiska title Titanic
Muaah kinara dikha kar ke dooba de gaya
Jhalla, mera aashiq jhalla wallah
Mera balma jhalla wallah
Mera jhalla wallah wallah ;)

Humne samjha tha jise golden jublee jise
Haaye samjha tha jise golden jublee jise
Oh Woh tu matinee dekha kar ke chuma le gaya
Jhalla mera aashiq jhalla wallah
Mera balma jhalla wallah
Mera jhalla wallah wallah aa aa.. :D


Tuesday, May 29, 2012

Teri Mohabbat Ki Talab

Teri Mohabbat Ki Talab Thi Tu Hath Pehla Diye...

Warna Hum Tu Apni Zindagi Ke Liye Bhi Dua Nahi 

Kartey....
 
 
Wednesday, April 11, 2012

Uss Nay Mujh Say Pocha

Uss Nay Mujh Say Pocha Mehfoom-E-Ghalat Fehmi,

Main Nay Kaha Aap Say Umeed-E-Wafa Rakhna...!!!


Monday, January 30, 2012

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai
Tere Ehsaaso Ko Kaun Yaha Samajhta Hai
Tu Kyun Kisipe U Marta Hai
Har Koi Is Matlabi Duniya Me Jeeta Hai
Khusi K Liye Kyun Har Pal Tarasta Hai
Yaha Toh Gamh Hi Khubsurat Lagta Hai
Armaano Ko Liye Kyun Machalta Hai
Unko Adhura Rehte Dekh Jeeya Jalta Hai
Tuth Kar Bhi Kyun Tu Sambhalta Hai
Yaha Tuje Phir Bikharna Padhta Hai
Bharosa Kyu Itna Karta Hai
Yaha Har Ghadi Insan Chehra Badalta Hai
Tu Kyun Jaan U Chidakta Hai
Woh To Tera Katil Bana Phirta Hai
Pagal Dil,Tu Kyun Nahi Samajhta Hai
Teri Halat Dekh Har Koi Hasta Hai
Tere Liye Kisika Nafrat Hi Acha Hai
Yaha Toh Pyar Bhi Bahot Sasta Hai.. 
 
 
 
Tuesday, January 24, 2012

Kya likhoon Dill ki Haqeeqat

Kya likhoon Dill ki Haqeeqat Aarzoo Behosh hai….

Khat pe Aansoo Beh Rahey Hain aur Qalam khaamosh hai…


Friday, January 13, 2012

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi

Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi

Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi

Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi

Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi

Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi

Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein
Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi

Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi

Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi
Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi

Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga
Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi 


Tuesday, January 10, 2012

Ik mehfil main

Ik mehfil main kai mehfilain hoti hain shareek,

Jisko bhi paas say dekho gy wo tanha ho ga,


Sunday, January 8, 2012

Raat sunti rahi main sunata raha

Raat sunti rahi main sunata raha
dard ki dastan main btata raha
Log logon sy chahat nibhaty rahy
Ek wo tha mera dil jalata raha
Dhop chaoon C uski tabyat rahi
Wo nigahain milata churata raha
Dil k mehman-khany main ronak rahi
koi ata raha koi jata raha
Hum-maktab ny sara sabak parh liya
Main tera nam likhta mitata raha
Ek main hi piyasa mery dosto
Log pety rahy main pelata raha



Saturday, January 7, 2012

Tarap rahay hain zabaan per kai sawal magar,

Tarap rahay hain zabaan per kai sawal magar,
Meray liay koi shayaan-e-iltamaas nahi,
tere ujalon main bhi dil kanp kanp uthta hai
mere mizaj ko aasudagi bhi ras nahi
kabhi kabhi jo tere qurb main guzre the
ab un dinon ka tasawwur bhi mere pas nahi
guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil
sahar ki as to hai zindagi ki aas nahi
mujhay ye dar hai k teri arzu na mit jaye
bahut dinon se tabiyat meri udaas nahi,


Tuesday, January 3, 2012

Mujh ko Har Roz Ye Hota Hai Gumaa'n Shaam K Baad...

Mujh ko Har Roz Ye Hota Hai Gumaa'n Shaam K Baad......
Aaj Har Haal Mein Jal Jayegi Jaa'n Shaam K Baad.........

Aesi Barbadi Kabhi Dekhi Na Hogi Tum Ne........
Na Koi Rakh, Na Shaula, Na Dhuwa'n Shaam K Baad.....

Is Terha Hoti Hai Barish Koi Ander Ander........
Jaise Rota Ho Koi Chup K Yahan Shaam K Baad........

Jab Kisi Bhoole Hue Dukh Pe Nazer Perh Jaye......
Ashk Ho Jate Hain Ankho'n Se Rawa'n Shaam K Baad....

Neend Aati Hi Nahi Ankho'n Ki Dheleezo'n Tak......
Khali Reh Jata Hai Aksar Ye Makaa'n Shaam K Baad...
 
Borrhi Ho Jati Hai Kuch Aur Tasalli Ferhat...
Dard Ho Jata Hai Kuch Aur Jawan Shaam K Baad...?
Sunday, January 1, 2012

Meri ZINDGI ko 1 TAMASHA bana dia USNE

Meri ZINDGI ko 1 TAMASHA bana dia USNE,
Bhari MEHFIL men TANHA bitha dia USNE

Aisi kia thi NAFRAT us ko is masoom DIL se
Khushian CHURA kr GAM thama dia USNE

Bohat NAAZ tha us ki WAFA pe kabi
Mujh ko hi meri NAZRON me GIRA dia USNE

Khud BEWAFA tha meri WAFA ki kia QADR krta
ANMOL tha main "KHAK" me MILA dia USNE

Kisi ko YAAD krna to us ki FITRAT me SHAMIL nhi
HAWA ka jhonka samjh kar muj KO BHULA dia "USNE",,