Saturday, January 7, 2012

Tarap rahay hain zabaan per kai sawal magar,

Tarap rahay hain zabaan per kai sawal magar,
Meray liay koi shayaan-e-iltamaas nahi,
tere ujalon main bhi dil kanp kanp uthta hai
mere mizaj ko aasudagi bhi ras nahi
kabhi kabhi jo tere qurb main guzre the
ab un dinon ka tasawwur bhi mere pas nahi
guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil
sahar ki as to hai zindagi ki aas nahi
mujhay ye dar hai k teri arzu na mit jaye
bahut dinon se tabiyat meri udaas nahi,


0 comments:

Post a Comment