Badan ke donon kinaaron se jal raha hoon main
K chhoo raha hoon tujhe or pighal raha hoon main

Tujhi pe Khatm hai jaana mery zawaal ki raat
Tu ab tulu bhi ho ja, ke Dhal raha hoon main

(tulu : appearing)
Bula raha hai mera jaama-zeb milne ko
To aaj pairahan-e-jaan badal raha hoon main

Ghubaar-e-rahguzar ka ye hausla bhi to dekh
Hawa-e-taazaa! tery sath chal raha hoon main

Main Khwaab dekh raha hoon k Wo pukaartaa hai,
Or apne jism se baahar nikal raha hoon main

0 comments:
Post a Comment