Copyright © Urdu Poetry
Design by Haider Ali
Thursday, October 6, 2011

maskan-e-maah-o-saal

maskan-e-maah-o-saal chhor geya
dill ko us ka Kheyal chhor geya

taaza-dam jism-o-jan thy furqat mien
vasl us ka nidhhaal chhor geya

Ehad-e-maazi jo tha ajab purhaal
ik viraan haall chhor geya

zaala-baari ke marhalon ka safar
qaafiley, paamaal chhor geya

dill ko ab ye bhi yaad ho ke naa ho
kaun tha , kiya malaal chhor geya
main bhi ab Khud se hoon  jawab-e-talab
wo mujhe be-sawaal chhor geya...


0 comments:

Post a Comment